Categories
Hinglish Poetry

Kalam

Mai kalam hu!
haan.. haan mai kalam hu..
tum hath ghumate ho,
aur mai tumhare tal se tal milakar – likhta challa jata hu..

Haan.. mai kalam hu!
tumhare khushi me khush,
tumhare dukh me dukhi mai ho jata hu,
tumhare dil ke har rang ko – mai kagaz ke panno par lekar aata hu..!

Haan mai kalam hu!
Khoon ki ek bund bhi nahi lagti hai mujhpe,
magar insaan ko puri tarah se
tood ne ki takat mai rakhta hu..!

Talwaro se lakh zindagiya
tabah ho magar
dil ke har taklif ko dur karne ki
takat lekar mai chata hu..!

Haan mai kalam hu….!

Aabhiman nahi garv hai mujhe
aapne iss fitrat pe ..
bina kuch bole hi mai
lakho ko sunna ne ki kabiliyat rakhta hu

Haan mai kalam hu…!

Na shabd mere hote hai,
na hote hai mere sawal jawab.
Mai toh hu ek mehanti gulam,
aur mere lekhak hi hai mere nawab..!

Issi soch ko lekar mai,
aapna jeewan guzar leta hu…
mai kalam hu mere yaaro,
lo, aaj mai aapni ye dasta tumhe sunata hu…!

Haan mai wahi kalam hu jo humesa sath tumhare rehta hu…!


Subscribe by email to get notified on new posts.
Loading
Liked it? Share it...