Categories
Hinglish Poetry

Bandhan Pyaar Ka…

Akeli thi mai kabhi
socha karti thi mai tabhi
Sabke pass hai koi khass
kitne khush hain ye sabhi…

Sunkar meri ye baat
bhej diya tuzhe usne
khelne mere sath
aur ho gayi ek nayi shuruaat…

Tu ekdum chotasa tha
din mai sota, raat mai rota tha
aab papa tujhse khelte the zyada
aur jalan mujhko hota tha…

Phir dheere dheere samaj aaya
aur tu banta gaya mera saaya
jidhar mai jati, udhar tu aata
na jane tha ye konsa nata…

Masti bohot karta tha tu
padhai ke naam pe toh nikal the tere aasu
par jo bhi ho jaye, pyara tu lagta tha
kitna bhi zagad lu, tu sang mere hi rehta tha…

Khel khel mai
bade huye hum
bachpan ki yaaden
abhi bhi kar deti hain meri aankhen num…

Tu dur chalagaya, karne padhai
dheere dheere tuzhe
yaad meri kam aayi…

Vyast toh mai bhi ho gayi hun
galat agar hai tu
toh mai bhi kuch zayada sahi nahi hun…

Lagta hai khulke batadu
tere mujhse durr jane ka
tujhe mai saza du…

Kuch bolti nahi hu lekhin
gale lagakar tujhe,
lagta hai – apne bachpan ko
phir se apna lu…

Jab bidaai thi meri
mujhse zayada tu roya tha
na jane kitne din aur raat
tu mere yaad me hi soya tha…

Kyun dur huwe hum
yeh aab sochna chahti nahi
chal aab karen aapne beech
sab kuch sahi…

Iss Raksha bandhan
shayad mil na paye hum
dur hokar hi sahi
chchal lagate hai apne dard par hum malham…

Tu meri shetaniya batana
meri teri tufaniyan bataun
teri beti ko bhi toh mai
uske papa ki kahaniya sunaun…

Happy Raksha bandhan bhai
le mai tere liye
yeh digital rakhi bhi layi…

Haar saal ki tarah iss saal bhi
tu koi bahana nahi banana
virtually hi sahi –
mera tohfa tu mujh tak pahuchana…

Phirse jiye hum khulkar
roye apne yaadon ko gale lagakar
chal bhai manayein yeh Raksha bandhan
haskar, mushkurakar…


Subscribe by email to get notified on new posts.
Loading
Liked it? Share it...